Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin


Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin

meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin

tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb "KaMaL" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin .....

YUUN BHI NAHI K PASS HAI MERE VO HUMNAFAS

!!!!!!!!!!!!!
YUUN BHI NAHI K PASS HAI MERE VO HUMNAFAS
YE BHI GALAT K MUGH SE JUDA HO GIA VO SHAKS
PARHTA THA MAIN NAMAZ SAMAJH KER USSE rasheed
phir yuun hua k mugh se kaza ho gia vo shaks


^^ik shikwa^^
jahan gaya use paya..
bhol jana chahta hon us ko....
nahi sochna chahata mai us ko
nai koi bat karni mujhe us se...
na dekhna hai meine us ko
dor chala jae kah do us se...
kash ye sab kah pata mai us se....
jahan gaya usay paya.....

dil to bacha hai ji.......!

bechain hai man dil ye tarapta hai kis liye


bechain hai man dil ye tarapta hai kis liye
iss aankh se badal sa barasta hai kis liye
oron ko chor apni adaon pe ghoor ker
ey wada shikan mujh pe garajta hai kis liye
ik umer hui tujh ko bhulaye hue phir bhi
jugno teri yadon ka chamkta hai kis liye
parhna hai tu chehron ko parhne ka huner sikh
be mane kitabon ko tu parhta hai kis liye
veeran hai duniya teri ab mare tarha se
phir mare muqader pe yun hasta hai kis liye
gul ne tu sada di thi mager tu nahi aaya
ab mari rafaqat ko tarasta hai kis liye

Muskaan


Muskaan
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
mohabbat ho ya nafrat asaan naheen hotee
aansoo khushi k hoon ya ghum k
hotay hain aik jaisay
in aanso'on ki koi pehchaan naheen hotee
baat hai wohee per matlab badal gaye hain
dil dagmaga gaya tha per hum sambhal gaye hain
aatay hain din woh bhee jaisay hain log lekin
apna sab kuch hai per jaan naheen hotee
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
is jahan main chehray bhee aik jaisay
ghunghat bhee aik jaisay sehray bhee aik jaisay
jantee hain nazrain pehchantee hain nazarain
apni parai suraat anjaan naheen hotee
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
yeh dil bhee ajab shay hai ho jaye jab akaila
rehta hai sath us ka daryaoon ka aik maila
duniya choot jaye her aas toot jaye
mehfil ye dil ki kabhee veraan naheen hotee
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
mohabbat ho ya nafrat asaan naheen hotee

Agar Anjaane Main Ho Jaye Koi Tumse khata


Agar Anjaane Main Ho Jaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaao Tum Pareshaan
To Mere Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Mere MeHBooB Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kamiyaab Tumhaari Her Khuwahish Ho Poori
Bas Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Meri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon

muhabbat'


muhabbat....!!!!
apni muhabbat k afsane kab tak raaz banao gay
ruswae se darne walon baat tumhe philaon gay
iss ka kiya ha tum na sahi tu chahne wale aur boht
tarq-e-muhabbat kerne walon tum tanha reh jao gay
hijr k maron ki khush fehmi jagg rahe hain pehron se
jaise yon shab kat jae gi,jaise tum aa jao gay
zakhm tammana ka bhar jana.goya jaan se jana ha
iss ka bhulana sehl nahi ha,khud ko b yaad aao gay
choro ehde wafa ki batain, kion jhoote iqrar karian
kal main b sharminda hoon ga,kal tum b pachtao gay
rehne do ye pindo naseehat,hum b 'faraz' se waqif hain
jis ne khud soo zakhm sahe hain,iss ko kia samjhao gay

~*~Teri Chaah Main ~*~


~*~Teri Chaah Main ~*~

Teri chah main hudh say guzar jaunga ek din
Piyar hota hai kya yeh dikhaunga ek din
Teri sung dili ko sehtay sehtay
Main jaan say apni guzar jaunga ek din
Apni saari chahatien tujh pe waar ke
Piyar karna tujhey bhee sikhaunga ak din
Jee na paaye ga tu bhi, ho ke juda mujh say
Aisa piyar tujh say kar jaunga ek din
Andhairon main hi dhoondhta reh jaaye ga mujh ko
Aisi be rukhi dikhlaunga ek din
Kho ke mujh ko pachtaow gay bohat
Sanam tum wafa aisi tum say kar jaunga ek din
Aisi deewangi say chahon ga tujhay
Bhool jao gay tum bhee sara jahan ek din
Jaan teri bhi labon pay aa jaaye ga
Ban ke khaak jab matti main mil jaon ga ek din

Neend bhari hai aankhon mein aur intezaar kerta hun


Neend bhari hai aankhon mein aur intezaar kerta hun
Dekh meri nazron mein tujhe kitna pyaar kerta hun
Tum na raho paas mere to koi shikayat nahi
Mein dost hijr ka sahi, wasl pe aitebaar kerta hun
Mein ro parrun teri yaad mein jab chaudhween ki raat ho
Mein ik baar jiya tha jab ab baar baar merta hun
Hassas kitna hun mein kisi ko kuch khaber nahi
mein zindagi k khail mein adhoora kirdaar kerta hun
tum door se bulaao gay mein buhat paas aaun ga
tum hud per kharre rehna mein hud paar kerta hun
zindagi tere aane se aur tu na lot k aaye gi
mein phir bhi tere aane per inhesaar kerta hun.

Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The


Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kerte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The
Kiya Baat Hai Kiyoon Mujh Se Khaffa Bethe Ho
Kiya Kissi Aur Ko Dil Apna De Bethe Hoo
Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aetbaar Kiya Kerte the
Mujh ko Maaloom Hai Gum Hay Koi Sogaat Nahein
Tum Mujhe Apna Kahoo Aise Bhi Haalaat Nahein
Aur Ager Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahein
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Lagga Kerte The
Main Wohi Hoon Jise Tum Piyar Kiya Kertte The
Din Mein So Baar Mera Naam Liya Kerte The

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte
Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte
Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main
Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen
Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

Ya RAB Gam-e-Hijran Mein, Itna To Kia Hota

Ya RAB Gam-e-Hijran Mein, Itna To Kia Hota
Jo hath Jigar Par Hai, Dast-e-Dua Hota
Ik Ishq ka Gam Aafat Aur Is Pe ye Dil Aaafat
Ya Gam Na Dia Hota Ya Dil Na Dia Hota
Nakaam-e-Tamanna-e-Dil, Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota To Kia Hota, yun Hota To Kia Hota
Umeed To Band Jaati, Taskeen To Ho Jaati
Vaada Na Wafa Karte Vaada To Kia Hota
Gairon Se Kaha Tum Ne, Gairon Se Suna Tum Ne
Kuch HUm Se Kaha Hota Kuch HUm Se Suna Hota

TUM KO ANA HOGA

TUM KO ANA HOGA

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaya Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna ek Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jayenge
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiye Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Sunoo Acha nahin lagta ... !

Sunoo Acha nahin lagta ... !

Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Sawaray Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pi Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Mujhay Acha Nahi Lagta

KHAMOSH MOHABBAT


KHAMOSH MOHABBAT
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek Nazar Chahat Se
Dekh Hee Liya Hota
Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat
Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein
Aane To Diya Hota.
Kiya Jata Tumhara Bas
Hamein He Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein
Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.
Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,
Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,

Tere qareeb aake bari uljhanoon mein hoon..

Tere qareeb aake bari uljhanoon mein hoon..
Mein dushmanoon mein hoon ke tere dostoon mein hoon..
Mujh se gurez pa hai to har raasta badal..
Mein sang-e-raah hoon to sabhi raastoon mein hoon
..Badla na merey baad bhi mozo-e-guftugu...
Mein ja chuka hoon phir bhi teri mehfiloon mein hoon..
Mujh se bichar key tu bhi to royega omar bhar...
Ye sooch le ke mein bhi teri khuahishoon mein hoon.

ZinDa HuUn

ZinDa HuUn
♥ Yeh hai meri kahaani ♪
♪ Khamosh zindagaani
♥ Sannaata keh raha hai
♪ Kyun zulm seh raha hai ♪
♪ Ek dastaan puraani ♪
♥ Tanhai ki zubani
♪ Har zakhm khil raha hai
♥ Kuch mujhse keh raha hai ♪
♪ Chubtay kaantay yaadon ke ♪
♥ Daaman se chunta hoon
♪ Girti deewaaron ke♥
Aanchal main zinda hoon ♪
♪ Bas yeh meri kahani ♪
♥ Bey nishan nishaani
♪ Ek dar beh raha hai
♥ Kuch mujh se keh raha hai ♪

mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho

mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho
vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho
mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho...

Mohabbat Thair Jaati Hai:

Mohabbat Thair Jaati Hai:
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI

gham kee barish ney bhee tere naqsh ko dhoya nahin

gham kee barish ney bhee tere naqsh ko dhoya nahin
tu ne mujh ko kho diya,mein ne tujhe khoya nahin
neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
yoon laga jaise wo shab ko dair tak soya nahin
har taraf deewar-o-dar aur un mein ankhon ke hujoom
keh sake jo dil kee halat wo lab-e-goya nahin
janta hoon ek aise shaks ko mein bhee munir
sham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin

Subah Juda Hai, Raat Juda...

Subah Juda Hai, Raat Juda...
Apni To Her Baat Juda..
Tumse Bichar Ker Aisa Laga
Jaise Dua Mai Haath Juda
Sab tho Aate Rahte Hai..
Tum Aao tho Baat Juda...

Ek Ehsaas...

Ek Ehsaas...
Hassi ne labon pe thirakna chod diya hai,
Khwabon ne palkon pe aana chod diya hai,
Nahi aati ab to hichkiyaan bhi,
Shayad Aap ne bhi yaad karna chod diya hai
Hum ne bhi chaha har manzil karib ho,
Har waqt aap ka saath naseeb ho,
Par wahan khuda bhi kya kare,
Jahan insaan khud badnasib ho...
Ho sakta hai ki hum saath reh na paaye,
Ek dusre se kuch keh na paaye,
Itni nazdkiyaan na badayiye hum se,
Ki hum duriyon ko seh na paaye.
Waqt ki aanch me patthar bhi pighal jaate hai,
Khushi ke lamhe gum me badal jaate hai,
Kaun karta hai yaad kissi ko yaara,
Waqt ke saath saath khayalaat bhi badal jaate hai.

Tum is tarhaan wafa ke laaj nebhaye rakhna.

Tum is tarhaan wafa ke laaj nebhaye rakhna.
Apne ansoono ko bhi anchal mei chopaye rakhna.
Kahein dekhna le yeh dunya tum ko,
Meri tasveer ko dil mei chopaye rakhna.
Agar pochay yeh merey barey mein koi.
muskora kar tum is ko jawab dena.
Keh dena hamri muhabat nakam nahi.
dono kay naseeb mein lekha hai door rehna

Tumhain Abb Bhool He Jain To Acha Hai

"Tumhain Abb Bhool He Jain To Acha Hai
Yeh Faslay Our B Barh Jain To Acha Hai
Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Too Abb Ghair He Bun Jain To Acha Hai
Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Mein
Too Is Aag Main Na Jalay To Acha Hai
Barsoon Say Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehta Hoon K Ab Samna Na Ho Tera To Acha Hai
Rehta Tha Teri Muhabbat Ka Saya Humaray Sath
Ab To Apni Perchai B Na Ho To Acha Hai
Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri
K ya saath ab chor hi Jaiy To Acha Hai

Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise

Youn Na Mil Mujh Se khafa Ho Jaise
Saath Chal Aise Mooj-e-Saba Ho Jaise
Log Youn Dekh K Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barha
Youn Na Mil Humse Khuda Ho Jaise
Ab Toh Mout Bhe Aayegi Is Naaz Se
Mujh Pe Ehsaan kiya Ho Jaise
Aisi Anjaan Bani Bethi Ho Tum
Tum Ko Kuch Pata Bhe Na Ho Jaise
Hichkiyaan Raat Ko Aati He Rahi
Tum Ne Phir Yaad kiya Ho Jaise
Zindagi Beet Rahi Hai Youn Hi
Ik Be-Jurm Saza Ho Jaise!!!!!!

ye dil ye paagal dil mera kiun bujhh gyaa aawargee

ye dil ye paagal dil mera kiun bujhh gyaa aawargee
iss dasht mein aik shehr thaa woh kia huaa aawargee
kall shab mujhe be-shaql ki awaz ne chaunkaa diyaa
main ne kaha tu kon hai? uss ney kaha aawaargee
ikk ajnabi jhaukay ne jabb poochhaa mere gham ka sabab
sehraa ki bheegee rait per main ne likhaa aawargee
logo bhala uss shehr mein kese jeeain gay hum jahan
ho jurm tanhaa sochaa lekin saza.......aawaargee
ye dasht ki tanhaaiyaan ye dard ka weeran safer
hum loge to uktaa gaye ...apni sunaa aawaargee
kall raat tanhaa chnaad ko dekhaa thaa main ne khuaab mein
mohsin mujhe raas aaye gee shayed sadaa aawaargee

phirte hain kab se dar_badar ab is nagar ab us nagar

phirte hain kab se dar_badar ab is nagar ab us nagar
ek duusre ke ham_safar main aur meri aavaaragi
naa aashanaa har rah_guzar na mehar_baaN hai ek nazar
jaayen to ab jaayen kidhar main aur meri aavaaragi

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,
Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day
Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,
Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day

Tumheen jab kabhee mileen furstein,merey dil see bojh utar doo

Tumheen jab kabhee mileen furstein,merey dil see bojh utar doo
Mein bohat dinon se udas hoon,mujhey aik sham udhar doo

Mujhey apney roop kee dhoop doo keh chamak sakeen merey khad-o-khal
Mujhey apney rang mein rang doo,merey sarey zang utar doo
Kisi aur ko merey hal sey na gharz hey na koi wasta
mein bikhar gaya hoon samait loo,mein bigar gaya hoon sanwar doo
Mereey wehshatoon ko barha diya hey judiyoon keh azab ney
merey dil per hath rakhoo zara merey dharkanoon ko karar doo
Tumheen subah kaseey lagi kahoo, merey khawhishoon key diyar kee
jo bhaley lagi too yaheen rahoo,isey chahatoon sey nikhar doo
Wahan gharr mein kon hey muntazir keh fikar ho deer sawair kee
baree mukhtasir see yeah raat hey isey chandani mein guzar doo
Koi baat kerni hey chand sey kisi shaksar kee ouut lee ker
mujhey rastey mein yaheen kaheen kisi kunj gal mein utar doo
Tumheen jab kabhee mileen furstein, merey dil see bojh utar doo
Mein bohat dinon se udas hoon, mujhey aik sham udhar doo

Mujhay Apnay Zabt Pay Naaz Thaa

Mujhay Apnay Zabt Pay Naaz Thaa
Sir-E-Bazm Raat Yeh Keya Hoaa
Mayri Ankh Kaysay Jhalk Parhi
Mujhay Ranj Hay Bora Hoaa
Mujhay Aik Gali May Para Hoaa
Kisii Badnaseeb Kaa Khat Milaa
Kahii Khon-E-Dil Say Lekhaa Hoaa
Kahii Ansown Say Metaa Hoaa
Mujhay Humsafar Bhe Milaa Koee
Tuu Sitam Zareef Mayri Trhaa
Kaee Manziloo Ka Thakaa Hoaa
Kaee Rastoo Ka Lutaa Hoaa
Mayri Zindagi Kay Charaag Kaa
Yeh Mezaaj Kuch Neyaa Nahi
Kabhe Tayrge Kabhe Roshni
Naa Jalaa Hoaa Naa Bojhaa Hoaa
Mujhay Aap Keyon Naa Samjh Sakay
Khood Apnay He Dil Say Pocheayh
Mayri Dastan-E-Hayaat Kaa
Tu Wark Wark Hay Khola Hoaa.

Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai

Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha ha
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai

ranjish hi sahi dil hi dukhaney k liye aa

ranjish hi sahi dil hi dukhaney k liye aa
aa phir se mujhey chor k jane k liye aa
kuch to merey pindar muhabat ka bharam rakh
tu bhi tuo kabhi mujh ko mananey k liye aa
pehley se marasim na sahi phir bhi kabhi tu
rasmo reh duniya hi nibhane k liye aa
kis kis ko batain gey judaee ka sabab hum
tu mujh se khafa ha to zamaney k liye aa
ik umer se hon lazat-e-girya se bhi mehroom
ey rahat-e-jan mujh ko rulane k liye aa
ab tak dil-e-khush fahemko tujh se hain umeedain
ye aakhri shamain bhi bhujaney k liye aa

usse apne fardan ki fiker thi

usse apne fardan ki fiker thi
wo jo mera waqif--haal tha
wo jo uski subh-e-urooj thi
wohi mera waqt-e-zawal tha
meri baat kaise wo manta
mera haal kaise wo jaanta
wo tu khud fana k safer main tha
usse rokna b mahal tha
wo barson baad mila mujhe
mere lab pa koi gilla na tha
usse meri chup ne rula dia
jise guftago main kamal tha

Kaash Koi Aisa Shakhs Hoowa Keray

Kaash Koi Aisa Shakhs Hoowa Keray
Jo Mere Liyay Sajaa Keray...
Jo Muj Se Baatain Kiya Keray
Kabi Rooay Jaaiy Be Panaa
Kabi Be Tahaashaa Hasaa Keray
Kabi Chupkay se Dabay Qadam
Mere Peechay Aa Ker Hasaa Karay
Meri Qurbatain Meri Chahtain
Koi Yaad Rakhay Qadam Qadam
Main Taveel Safer Main Hoon Ager
Meri Wapsi Ki Duaa Keray

Kaash

KAASH KOI AISA SHAKHS HOA KARAY ...

Koii chupkay chupkay kehta hai,

Koii chupkay chupkay kehta hai,
Koii geet likho meri ankhon per,
Koii sher kaho mere lafzon per,
In khushboo jesi baton per,
Chup chaap main sunta rehta hon,
Phir in jheel si gherii ankhon per,
Ik taza ghazal likh deta hon,
In phool jesi baton per,
Aik sher niya keh deta hon,
Yeh geet, ghazal yeh sher mere,
Sab us k piyar ka darpan hain,
Sab us k roop ka darshan hain,
Sab us ki ankh ka kajal hain........

YUN TO GUZER RAHA HEY HER IK PAL KHUSHI KEY SATH

YUN TO GUZER RAHA HEY HER IK PAL KHUSHI KEY SATH
PHIR BHI KOI KAMI SI HEY KION ZINDAGI KEY SATH
RISHTEY,WAFAEIN. DOSTI... SAB KUCH TO PAS HEY
HER LAMHA HAY HASEEN,DILKASHI KEY SATH
PHIR BHI KOI KAMI SI HAI,KION ZINDAGI KEY SATH
CHAHAT BHI HEY,SAKOON BHI HEY,DILBERI BHI HEY
ANKHON MEIN KHWAB BHI HEYN HONTON PEY HANSI BHI HEY
DIL KO NAHI SHIKAYAT KISI KEY SATH
PHIR BHI KOI KAMI SI HEY, KION ZINDAGI KEY SAth
SOCHA THA JAISA, WAISA HI JEEWAN HEY NAZAR
QUDRAT TO MEHERBAN HEY DERYA DILI KEY SATH
PHIR BHI KOI KAMI SI HEY KION ZINDAGI KEY SATH
YUN TO GUZER RAHA HEY HER IK PAL KHUSHI KEY SATH
PHIR BHI KOI KAMI SI HEY KION ZINDAGI KEY SATH

Pass reh ker Juda si lagti hai

Pass reh ker Juda si lagti hai
Zindagi Aab bewafa Si Lgti Hai
Mein Tumhare beghair hi Jee Loon Ga
Ye Dua bad,Dua si Lagti Hai
Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai
Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai
PYAAR Karna hi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai
Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taarri Hai
Teri Yadoon Ka Aik Azaab Sa Jarri Hai bhullana
Tujhay Iss Qadar Nahi Hai Aasan
Aik Umer Tere Naam Pay Guzaari Hai
Thakk Kar betha Hai Yahan Kaun bhaala
Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai
Lagg Kar Deewar Say Nidhal Sa betha Hai
Woh Jiss Nay Ro Ro Kar Raat Sarri Guzarri Hai
Ashako Nay Ab Aankho Ka Saath Choor Diya Hai
Itna Rooya Hoon Main K Aan
Ye sab Teri Mohabbat Ka Kasoor Hai
Sab khoo Kay bhie Dil teri Yaad mai Tarri hai

kahan aa k ruke the raaste kahan morr tha usse bhool ja

kahan aa k ruke the raaste kahan morr tha usse bhool ja
wo jo mil gaya usse yaad rakh jo nahi mila usse bhool ja
wo tere naseeb ki barishain kisi aur chatt pa baras gae
dil-e-bekhabar meri baat sun usse bhool ja usse bhool ja
na wo aankh he teri aankh thi na wo khawb he tera khawb tha
dil-e-muntazir ha ye iss lia tera jagna usse bhool ja
ye tu kis lia shab-e-hijr k usse her sitare main dhondta
wo falak k jis pa mile the hum koi aur tha usse bhool ja
main tu gum thi tere dehaan main teri aas tere gumaan main
saba keh gae mere kaan main mere sath aa usse bhool ja

milna tha ittefaq bicharna naseeb tha

milna tha ittefaq bicharna naseeb tha
wo itni door ho gaya jitna qareeb tha
basti k saare log he aatish parast thay
ghar jal raha tha aur samandr qareeb tha
MARIUM kahan talash kare apne laal ko
her shaks k gale main nishan-e-saleeb tha
chandi ki qabr main usse dufna dia gaya
wo jisko chahti thi wo larka gareeb tha

KUCH DOOR HAMARAY SAATH CHLO

KUCH DOOR HAMARAY SAATH CHLO
HUM DIL KI KHANI KEH DAIN GAY
SAMJHE NA JISAY TUM AANKHON SAY
WOH BAAT ZUBANI KEH DAIN GAY
PHOLON KI TARHA HONTON PAY IK SHOKH TABBASUM BIKHRAY GA
DHEERAY SAY TUMHARAY KANOON MAIN IK BAAT PURANI KEH DAIN GAY
IZEHRA WAFA TUM KIYA JANO...IQRARA WAFA TUM KIYA JANO
HUM ZIKAR KARIAN GAY GHARON KA ORAPNI KHANI KEH DAIN GAY
KUCH DOOR HAMARAY SAATH CHLO HUM DIL KI KHANI KEH
DAIN GAY

Us ne kaha

Us ne kaha
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti
chahti hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karti
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti

Chehre pe khushi chah jati hai

Chehre pe khushi chah jati hai
ankhon mein suroor aajata hai
Jab tum MuJhe apna kehte Ho
apne pe guroor Aajata hai
Tum husn ki khud ek dunya Ho,
shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe NooR Aajata Hai
Hum pass se tum ko kiya dekhen
JaB TuM MukaBiL HotE HO
BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,
Parda sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse MohabbaT ki Humne
Tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka Saliqa Aata hi nahi
Jeene ka Shaoor Aajata Hai

udaas shamain ujarh rstey kabhi bulain to laut aana

udaas shamain ujarh rstey kabhi bulain to laut aana
kisi ki aankhon mai ratjagon k azaab aain to laut aana
abhi nae vadion naey manzron mai reh lo mager meri jan
ye sare aik aik ker k jab tum ko chor jain to laut aana
mai roz yun hi hawa pe likh likh k iss ki janib ye bhejta hon
k achey mousam ager paharon pe muskurain to laut aana
ager andheron mai chor ker tum ko bhool jain tumharey sathi
or apni khater hi apne apne diye jalain to laut aana
mare wo batain tu jin pe byikhteyar hansta tha khilkhila ker
bicherne wale mari wo batain kabhi rulain tu laut aana

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha?

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha?
na tha raqeeb tu aakhir wo naam kis ka tha?
wo qatl ker k mujhe her kisi se pochte hain
ye kaam kis ne kia ha ye kaam kis ka tha?
wafa karain ge nibhae ge baat manain ge
tumhe b yaad ha kuch ye kalam kis ka tha?
raha na dil main wo bedard aur dard raha
maqeem kon howa ha muqam kis ka tha?
hamare khat k tu purze kia parha b nahi
suna jo tune badal wo payam kis ka tha?
inhi sifhat se hota ha aadmi mashoor
jo lutf-eaam wo kerte tu naam kis ka tha?
her ik se kehte hain kia DAGH' bewafa nikla
ye poche inn se koi wo ghulam kis ka tha

aanch izzat pe na aaye kaheiN harjaa'ii kii

aanch izzat pe na aaye kaheiN harjaa'ii kii
SHaal se Dhaanp diya uss ko hai tanhaa'ii kii

muhr jeevan pe judaa'ii kii lagaadee tum ne
Aah! Kiss SHaan se hai meri pazeeraa'ii kii

umr bhar SHams kii aaNkhoN meN nazar Daale rakhii
iss liay kho chuka quvvat hooN maiN beenaa'ii kii

thi faqat yeh hee wajah meri bhii rusvaa'ii kii
"koo ba koo phail ga'ee baat SHanaasaa'ii kii

Kerbala jab bhii tiri KHaak ko choomaa maiN ne
tan meN mehsoos ki taaSeer maseehaa'ii kii

baa.KHudaa sirf yeh : Parveen: hee keh saktii haiN
"tujh pe guzre na qayaamat SHab-e.tanhaa'ii kii"

miSr baazaar meN kya kuch na rakhaa thaa tere
huSn-e.Yousuf pe magar aankh thi saudaa'ii kii

lab hilaiN yaa na hilaiN boltii haiN aaNkhaiN magar
bas yahii baat to achchhii lagi sachaa'ii kii

Kaa'ba-e.Dil ki thi deewaar bohot soonii see
Ik Shabeeh maiN ne Tangaadee tiri parchhaa'ii kii

aankh se behte huvay aShk ka nauha :Faheem:
chaandnii raat sahii raat hai tanhaa'ii kii

bhir mai ik ajnabi ka samna acha laga

bhir mai ik ajnabi ka samna acha laga
sab se chup ker wo kisi ka dekhna acha laga
surmae aankhon k necheyphool se khilney lagey
kehtey kehtey kuch kisi ka sochna acha laga
baat to kuch b nahi thilakin iss ka aik dam
hath ko honton pe rakh ker rokna acha laga
chaey mai chini milana uss gari bhaya nahi
zer-e-lab wo muskurana,shukriya,acha laga
dil mai kitney ehad bandheythey bhulaney k liye
wo mila to sab iradey torna acha laga
iss adu-e-jan ko AMJAD"mai bura kesey kahon
jab b aaya samney wo bywafa acha laga

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar he jala gaya ek shakhs

Mein kis hawa mein urron kis faza mein lehraoun?
Dukhon k jaal her ek soo bicha gaya ek shakhs...

Tamam rang mere or Sare khawab mere...
Fasaana thay! k fasaana banaa gaya ek shakhs?


Palat Sakoon he , na aagay he berh sakoon jisper...
Mujhe ye konse raste laga gaya ek shakhs???

Mohabbatain bhi ajab - uski nafratain bhi kamal!
Merii he terhan ka mujh mein samaa gaya ek shakhs...

Woh mahtaab tha, merham badast aaya tha..
Magr kuch aur Siwa Dil Dukha gaya ek shakhs..

Mohabaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay
Milay wo zakhm k phir yaad aagaya ek shakhs!

Khula ye raaz k aaina khana hai duniya
Or usmein mujhko tamasha bana gaya ek shakhs

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar he jala gaya ek shakhs

deyar-e-noor mai tera shabon ka sathi ho

deyar-e-noor mai tera shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri wahshaton ka sathi ho
mai uss k hath na aaon wo mera ho k rahey
mai gir paron to mari pastion ka sathi ho
mai uss se jhoot b bolon wo mujh se sach boley
merey mizaj k sab mousamon ka sathi ho
wo marey naam ki nisbat se motaber thehrey
gali gali meri ruswaion ka sathi ho
mai apney aap ko dakhon wo mujhey dakhey jaye
wo merey nafs ki gumraion ka sathi ho

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...

woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na kerna...

phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...

shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...

woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron se mera zikar na kerna...

shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
is baar baharon se mera zikar na kerna...

le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
darya ke kinaron se mera zikar na kerna...

woh shakhs mile to usey har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikar na kerna...

ZAMANE BEET JATE HEIN


ZAMANE BEET JATE HEIN
Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein

Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hein

Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hein

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein

Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..

Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai..

Karta nahi kyon dusara kuch bat-chit..
dekhata hun main jise.. vo chup teri mahfil main hai..

Ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar..
Ab teri himat ka charcha.. gair ki mahfil main hai..

Waqt ane de bata denge tujhe ai asman..
Ham abhi se kya batayen.. kya hamare dil main hai..

Khinch kar lai hain sabko qatl hone ki ummid..
Ashiqon ka aj jamghat kucha-e-qatil main hai..

Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai..

Hai liye hathiyar dushma taak main baitha udhar..
Aur hum tayiyaar hain.. seena liye apna idher..

Khoon se khelenge holi.. agar watan mushkil main hai..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..

haant jinme ho junoon.. kat te nahi talwaar se..
Sar jo uth jaate hain.. woh jhukte nahi lalkaar se..

Aur bhadkega.. jo shoal sa hamare dil main hai..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..

Hum to gharse nikle hi the.. bhand kar sar pe kafan..
Jaan hatheli pe liye.. lo badh chalen hain yeh kadam..

Zindagi to apni mehmaan.. maut ki mehfil main hai..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..

Dil main toofano ki doli.. aur naso mein inklaab..
Hosh dushman ke uda denge.. humen roko na aaj..

Dur reh paaye jo humse.. DUM kahan manjil main hain..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..

Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai..

jab guzar jayegi bahar tou kya karogay

jab guzar jayegi bahar tou kya karogay
yaad ayega mera piyaar tou kya karogay,


satatay ho aise jaise ajnabi hun mai
jab roothayga tumsay yaar tou kya karogay,

0
apnao gay kisi aur ko mujhay tanha chor kar
usay hoga na tumsay piyaar tou kya karogay,


akhir laut aogay tum meri rahon pay
phir milayga na pehla piyaar tou kya karogay,


abhi tou hanstay ho meri wafaon pay
yaar phir rona bhi hoga bekaar tou kya karogay.

tujhe pannay ki chahat mai...!!

tjhay panay ki chahat mai ...

mai khud se dooor ho gyi hun.....:(