KAHAN HO TUM CHALAY AAOO.


KAHAN HO TUM CHALAY AAOO.
...

Kahan ho tum chalay aaoo Mohabbat ka taqqaza hay
Gham-e-dunia say ghbra kar tumhain dil nay pukaara hay

Tumhari Be-rukhi ik din hamari jaan lay lay gi
Qasam tum ko zara socho k dastoor-e-wafa kia hay

Na.janay kis liay dunia ki nazrain phir gayeen hum say
Tumhain daikha tumhain chaha Qasoor is k siwa kia hay

Na hay faryaad honton par na aankhon main koi aansoo
Zamanay say mila jo ghum Usay geeton main dhaala hay

Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga


Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga
Ghar chor k mat jao kahin ghar na milay ga
.....
Phir yaad bohat ayey gi zulfon ki ghani shaam
Jab dhoop mai saaya koi sar per na milay ga
.....
Aansu ko kabhi aaos ka qatra na samaghna
Aisa tumhain chaahat ka samandar na milay ga
.....
Uss khwab k mahol mai bekhwab hai aankhen
Jab toot k neend ayey gi tu bistar na milay ga
....
Ab soch lo k akhri saya hai muhabat
Iss dar se utho gay tu koi dar na milay ga

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi


Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
.

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi

nind ka halka gulabi-sa Khumaar aankhon mein tha
yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin

har taraf deevar-o-dar aur un mein aankhon ka hujuum
keh sake jo dil ki haalat vo lab-e-goya nahi

jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza
kaat.ta hun zindagi bhar main ne jo boya nahi

jaanta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
Gham se pathar ho gaya lekin kabhi royaa nahi



Chale jo do kadam saath woh,
To unke saath se Pyaar ho jaye,

Thaame jo Pyaar se mera haath woh,
To apne hi haath se Pyaar ho jaye,

Jis raat aaye khowabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar ho jaye,

Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar ho jaye,

Jab pukaare Pyaar se mera naam,
Too apne hi naam se Pyaar ho jaaye,

Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
Tu aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar ho jaye.