KAHAN HO TUM CHALAY AAOO.


KAHAN HO TUM CHALAY AAOO.
...

Kahan ho tum chalay aaoo Mohabbat ka taqqaza hay
Gham-e-dunia say ghbra kar tumhain dil nay pukaara hay

Tumhari Be-rukhi ik din hamari jaan lay lay gi
Qasam tum ko zara socho k dastoor-e-wafa kia hay

Na.janay kis liay dunia ki nazrain phir gayeen hum say
Tumhain daikha tumhain chaha Qasoor is k siwa kia hay

Na hay faryaad honton par na aankhon main koi aansoo
Zamanay say mila jo ghum Usay geeton main dhaala hay

Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga


Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga
Ghar chor k mat jao kahin ghar na milay ga
.....
Phir yaad bohat ayey gi zulfon ki ghani shaam
Jab dhoop mai saaya koi sar per na milay ga
.....
Aansu ko kabhi aaos ka qatra na samaghna
Aisa tumhain chaahat ka samandar na milay ga
.....
Uss khwab k mahol mai bekhwab hai aankhen
Jab toot k neend ayey gi tu bistar na milay ga
....
Ab soch lo k akhri saya hai muhabat
Iss dar se utho gay tu koi dar na milay ga

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi


Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
.

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi

nind ka halka gulabi-sa Khumaar aankhon mein tha
yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin

har taraf deevar-o-dar aur un mein aankhon ka hujuum
keh sake jo dil ki haalat vo lab-e-goya nahi

jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza
kaat.ta hun zindagi bhar main ne jo boya nahi

jaanta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
Gham se pathar ho gaya lekin kabhi royaa nahi



Chale jo do kadam saath woh,
To unke saath se Pyaar ho jaye,

Thaame jo Pyaar se mera haath woh,
To apne hi haath se Pyaar ho jaye,

Jis raat aaye khowabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar ho jaye,

Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar ho jaye,

Jab pukaare Pyaar se mera naam,
Too apne hi naam se Pyaar ho jaaye,

Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
Tu aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar ho jaye.

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin


Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin

meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin

tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb "KaMaL" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin .....

YUUN BHI NAHI K PASS HAI MERE VO HUMNAFAS

!!!!!!!!!!!!!
YUUN BHI NAHI K PASS HAI MERE VO HUMNAFAS
YE BHI GALAT K MUGH SE JUDA HO GIA VO SHAKS
PARHTA THA MAIN NAMAZ SAMAJH KER USSE rasheed
phir yuun hua k mugh se kaza ho gia vo shaks


^^ik shikwa^^
jahan gaya use paya..
bhol jana chahta hon us ko....
nahi sochna chahata mai us ko
nai koi bat karni mujhe us se...
na dekhna hai meine us ko
dor chala jae kah do us se...
kash ye sab kah pata mai us se....
jahan gaya usay paya.....