Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga


Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga
Ghar chor k mat jao kahin ghar na milay ga
.....
Phir yaad bohat ayey gi zulfon ki ghani shaam
Jab dhoop mai saaya koi sar per na milay ga
.....
Aansu ko kabhi aaos ka qatra na samaghna
Aisa tumhain chaahat ka samandar na milay ga
.....
Uss khwab k mahol mai bekhwab hai aankhen
Jab toot k neend ayey gi tu bistar na milay ga
....
Ab soch lo k akhri saya hai muhabat
Iss dar se utho gay tu koi dar na milay ga

No Response to "Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milay ga"

Post a Comment