Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi


Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
.

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi

nind ka halka gulabi-sa Khumaar aankhon mein tha
yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin

har taraf deevar-o-dar aur un mein aankhon ka hujuum
keh sake jo dil ki haalat vo lab-e-goya nahi

jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza
kaat.ta hun zindagi bhar main ne jo boya nahi

jaanta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
Gham se pathar ho gaya lekin kabhi royaa nahi

No Response to "Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi"

Post a Comment