Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar he jala gaya ek shakhs

Mein kis hawa mein urron kis faza mein lehraoun?
Dukhon k jaal her ek soo bicha gaya ek shakhs...

Tamam rang mere or Sare khawab mere...
Fasaana thay! k fasaana banaa gaya ek shakhs?


Palat Sakoon he , na aagay he berh sakoon jisper...
Mujhe ye konse raste laga gaya ek shakhs???

Mohabbatain bhi ajab - uski nafratain bhi kamal!
Merii he terhan ka mujh mein samaa gaya ek shakhs...

Woh mahtaab tha, merham badast aaya tha..
Magr kuch aur Siwa Dil Dukha gaya ek shakhs..

Mohabaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay
Milay wo zakhm k phir yaad aagaya ek shakhs!

Khula ye raaz k aaina khana hai duniya
Or usmein mujhko tamasha bana gaya ek shakhs

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar he jala gaya ek shakhs

No Response to "Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs"

Post a Comment