bhir mai ik ajnabi ka samna acha laga

bhir mai ik ajnabi ka samna acha laga
sab se chup ker wo kisi ka dekhna acha laga
surmae aankhon k necheyphool se khilney lagey
kehtey kehtey kuch kisi ka sochna acha laga
baat to kuch b nahi thilakin iss ka aik dam
hath ko honton pe rakh ker rokna acha laga
chaey mai chini milana uss gari bhaya nahi
zer-e-lab wo muskurana,shukriya,acha laga
dil mai kitney ehad bandheythey bhulaney k liye
wo mila to sab iradey torna acha laga
iss adu-e-jan ko AMJAD"mai bura kesey kahon
jab b aaya samney wo bywafa acha laga

No Response to "bhir mai ik ajnabi ka samna acha laga"

Post a Comment