udaas shamain ujarh rstey kabhi bulain to laut aana

udaas shamain ujarh rstey kabhi bulain to laut aana
kisi ki aankhon mai ratjagon k azaab aain to laut aana
abhi nae vadion naey manzron mai reh lo mager meri jan
ye sare aik aik ker k jab tum ko chor jain to laut aana
mai roz yun hi hawa pe likh likh k iss ki janib ye bhejta hon
k achey mousam ager paharon pe muskurain to laut aana
ager andheron mai chor ker tum ko bhool jain tumharey sathi
or apni khater hi apne apne diye jalain to laut aana
mare wo batain tu jin pe byikhteyar hansta tha khilkhila ker
bicherne wale mari wo batain kabhi rulain tu laut aana

No Response to "udaas shamain ujarh rstey kabhi bulain to laut aana"

Post a Comment