~*~Teri Chaah Main ~*~


~*~Teri Chaah Main ~*~

Teri chah main hudh say guzar jaunga ek din
Piyar hota hai kya yeh dikhaunga ek din
Teri sung dili ko sehtay sehtay
Main jaan say apni guzar jaunga ek din
Apni saari chahatien tujh pe waar ke
Piyar karna tujhey bhee sikhaunga ak din
Jee na paaye ga tu bhi, ho ke juda mujh say
Aisa piyar tujh say kar jaunga ek din
Andhairon main hi dhoondhta reh jaaye ga mujh ko
Aisi be rukhi dikhlaunga ek din
Kho ke mujh ko pachtaow gay bohat
Sanam tum wafa aisi tum say kar jaunga ek din
Aisi deewangi say chahon ga tujhay
Bhool jao gay tum bhee sara jahan ek din
Jaan teri bhi labon pay aa jaaye ga
Ban ke khaak jab matti main mil jaon ga ek din

No Response to "~*~Teri Chaah Main ~*~"

Post a Comment