Muskaan


Muskaan
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
mohabbat ho ya nafrat asaan naheen hotee
aansoo khushi k hoon ya ghum k
hotay hain aik jaisay
in aanso'on ki koi pehchaan naheen hotee
baat hai wohee per matlab badal gaye hain
dil dagmaga gaya tha per hum sambhal gaye hain
aatay hain din woh bhee jaisay hain log lekin
apna sab kuch hai per jaan naheen hotee
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
is jahan main chehray bhee aik jaisay
ghunghat bhee aik jaisay sehray bhee aik jaisay
jantee hain nazrain pehchantee hain nazarain
apni parai suraat anjaan naheen hotee
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
yeh dil bhee ajab shay hai ho jaye jab akaila
rehta hai sath us ka daryaoon ka aik maila
duniya choot jaye her aas toot jaye
mehfil ye dil ki kabhee veraan naheen hotee
her aik muskurahat muskaan naheen hotee
mohabbat ho ya nafrat asaan naheen hotee

No Response to "Muskaan"

Post a Comment