tumhare khat main naya ik salam kis ka tha?

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha?
na tha raqeeb tu aakhir wo naam kis ka tha?
wo qatl ker k mujhe her kisi se pochte hain
ye kaam kis ne kia ha ye kaam kis ka tha?
wafa karain ge nibhae ge baat manain ge
tumhe b yaad ha kuch ye kalam kis ka tha?
raha na dil main wo bedard aur dard raha
maqeem kon howa ha muqam kis ka tha?
hamare khat k tu purze kia parha b nahi
suna jo tune badal wo payam kis ka tha?
inhi sifhat se hota ha aadmi mashoor
jo lutf-eaam wo kerte tu naam kis ka tha?
her ik se kehte hain kia DAGH' bewafa nikla
ye poche inn se koi wo ghulam kis ka tha

No Response to "tumhare khat main naya ik salam kis ka tha?"

Post a Comment