ranjish hi sahi dil hi dukhaney k liye aa

ranjish hi sahi dil hi dukhaney k liye aa
aa phir se mujhey chor k jane k liye aa
kuch to merey pindar muhabat ka bharam rakh
tu bhi tuo kabhi mujh ko mananey k liye aa
pehley se marasim na sahi phir bhi kabhi tu
rasmo reh duniya hi nibhane k liye aa
kis kis ko batain gey judaee ka sabab hum
tu mujh se khafa ha to zamaney k liye aa
ik umer se hon lazat-e-girya se bhi mehroom
ey rahat-e-jan mujh ko rulane k liye aa
ab tak dil-e-khush fahemko tujh se hain umeedain
ye aakhri shamain bhi bhujaney k liye aa

No Response to "ranjish hi sahi dil hi dukhaney k liye aa"

Post a Comment