Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...

woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na kerna...

phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...

shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...

woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron se mera zikar na kerna...

shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
is baar baharon se mera zikar na kerna...

le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
darya ke kinaron se mera zikar na kerna...

woh shakhs mile to usey har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikar na kerna...

1 Response to "Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna..."

Ghazal Srinivas said...

may I Know who is the author of this Ghazal ?/ can i have the contacts of the Author please

regards
dr Ghazal Srinivas
98490 13697 ( hindustan)
drghazalsrinivas@gmail.com

Post a Comment