Ek Ehsaas...

Ek Ehsaas...
Hassi ne labon pe thirakna chod diya hai,
Khwabon ne palkon pe aana chod diya hai,
Nahi aati ab to hichkiyaan bhi,
Shayad Aap ne bhi yaad karna chod diya hai
Hum ne bhi chaha har manzil karib ho,
Har waqt aap ka saath naseeb ho,
Par wahan khuda bhi kya kare,
Jahan insaan khud badnasib ho...
Ho sakta hai ki hum saath reh na paaye,
Ek dusre se kuch keh na paaye,
Itni nazdkiyaan na badayiye hum se,
Ki hum duriyon ko seh na paaye.
Waqt ki aanch me patthar bhi pighal jaate hai,
Khushi ke lamhe gum me badal jaate hai,
Kaun karta hai yaad kissi ko yaara,
Waqt ke saath saath khayalaat bhi badal jaate hai.

No Response to "Ek Ehsaas..."

Post a Comment